How Soviet union Saved The World From Hitler
How Soviet union Saved The World From Hitler:
Koi bhi desh, desh banata hai vahan ke logo se. Logo ke dilo se. Unke Dilo mein base desh prem se. Aaj ki kahani bhi aise hee desh ki hai. Jahan ke logo ne gulami ki janjiro ko udhsvt kar diya. Apne vicharo ka jhanda pride se uncha Kiya. Aur aakhir iss war mein Jeet unki hee nahi balki pure vishwa ki hui. Jahan se shuru hui vigyan yug ki adbhut kahani.
Soviet union ne Hitler ko haraya aur pure world ne gahari saans li.
Introduction:
Hitler ka sapana tha ki vah German Nazio Ka Empire pure Europe mein build kare. Aesa hota bhi agar Soviet union naam ke desh se vah panga nahi leta.
Sochiye agar Hitler second world war Jeet jaata to?
Soch kar bhi darr lagta hai na.
Pure world ko Hitler se bachane mein Soviet Union ka bada haat hai. Kaise aaiye iss video mein jante hai.
Non aggression Pact:
August 1939 mein Stalin aur Hitler ke beech
Non aggression naam ka pact signed hota hai.
Iss pact ke tahat 10 saal keliye koi bhi desh ek dusre par attack nahi karne vala tha.
Yah alag baat hai ki iss pact ko baad mein khud Hitler hee break kar deta hai.
Germany Poland par hamla karta hai. Jiske vajah se britan aur France, Poland ki madad karne ke liye war mein shamil hote hai.
Aur Yahin se world war 2 ki shuruaat hoti hai.
(And from here world war two starts)
World keliye kyon khataranak tha Hitler:
Poland ko jeetne ke baad Hitler kuch hee samay mein Denmark, Norway, Belgium, Netherlands, Luxembourg, France, yogoslavia, Greece jaise desh Jeet leta hai.
Jee haa Ek vakt aesa bhi aata hai Jahan Hitler lagbhag pure Europe par kabja jaman Chuka tha.
Hitler ki manasha ab aur jyada badhati hai. Uski najar great Britain jeetne par thi.
Vah sochta hai yadi Soviet union par hamla karke hum Jeet jaate hai tab great Britain Apne aap jhuk jayega.
Vah Britain par hawai hamle bhi karta hai. Lekin use kamyabi nahi milti.
(He also launches airstrikes on Britain but does not get success)
Doston, Lekin bada sawal hai ki aggression pact signed hone ke bawjud bhi Hitler Soviet union par hamla kyo karna chahta tha.
Hitler najio keliye lebensraum means living space chahta tha.
Uska manana tha ki Eastern Europe mein German empire ke built hone se unke resources mein self sufficiency aa jayegi.
Hitler communism se hate karta tha.
Usne 1914 ke baad se Germany ki sabhi problems ko Jews aur communism ko jimmedar thahraya tha. Historian Leonid Rein ke anusar, "najiyo keliye communist ideology ke preacher Jews the."
Mid 1920s mein likhi Uski kitaab "mein Kampf" mein bhi Soviet Union par hamla karane ki baat likhi hai.
Use lga Soviet union ko Jeet lene ke baad Britain Apne aap surrender ho jayega.
Soviet ko harakar unke industrial resources ka use karke America ko jeetne ko jeetne ki bhi uski planning thi.
(Hitler planned, after deafeat Soviet they will use their industrial resources to beat America)
Soviet Union ne World ko kaise bachaya uski Puri kahani Operation Barbarosaa mein chupi Hui hai:
Kya hai Operation Barbarosaa?
Hitler ka plan northern Soviet ke archangel port se lekar Caspian ocean par astaarkhan port tak hamla Krna tha.
Isase Germany ke control mein sabhi economic resources aa jaate.
Uss samay ka Hitler ka ek quote bada famous hai. usne kaha tha "we have only to kick in the front door and the whole rotten Edifice will come tumbling down"
Iska matlab hai ki "hame sirf darwaje par laath marane ki jarurat hai, uske baat Puri building gir ke dhah jayegi.
Yaani Soviet Union par keval attack karne ki der hai, hum aasani se jeet jayenge.
Taarikh: 22 June 1941, Hitler ne Soviet union par ek operation launch Kiya. Operation kaa naam tha Barbarossa.
Hitler ke iss attack keliye Soviet union bilkul ready nahi tha.
Stalin surprise hua ki non aggression pact hone ke bawajood bhi Hitler ne unpar hamla kaise Kiya!
Rome mein medieval times mein Frederick first Barbarossa naam ka Samrat hua karta tha.
Unke hi naam par Hitler ne iss operation ka naam rakha tha.
Frederick first ne bhi slavic logo ko kaafi tortured kiya tha.
3.7 million German armed forces Soviet union par hamla karte hai.
Hitler ke armed forces ke paas 3,400 tan, 600,000 motor Vehicles aur 2,700 aircraft, 7,000 artillery the.
Hitler ne 3 million German fauj k jo 3 group mein divide kar target par bheja.
Yah warfare history ka largest invasion force tha.
Puri strategy blitzkrieg idea ka repetition tha. Isi strategy se Hitler ne France ko jeeta tha.
North heading mein Leningrad ko army group bheja.
Yah bataliyan, Latvia, Lithuania and Estonia hokar Leningrad pahunchti.
centre mein Mascow aur South heading mein kyiv Par army group bheje.
Centre mein army group ko Minsk, Smolensk and Moscow capture krne ki jimmedari de di gayi.
South direction se Ukraine par hamle ke aadesh Diya. Kyiv and Donbass ki Orr aage badhnaa tha.
Plan ke tahat sirf 10 dino mein Soviet union par kabja karna tha.
Stalin ko hitlar par bharosa nahi tha lekin usko yah umeed nahi thi ki itna jaldi vah hamla kar bhi dega.
Soviet union ke paas 50 lakh soldiers aur 23,000 tank the. Lekin Stalin ki red army Germany ke hamale ke liye taiyar nahi thi.
At the start of the war, Germany ko bahut safalta mili. Germany ne Soviet ko pichee dhakela. Soviet Sena ab confusion situation mein thi. Germany hawai marg se Soviet airfields par hamle kar rahe the. Jald Germany ne Soviet ke 1800 aircraft destroy kr diye.
German north armed forces ka ek group Lelingrad ki orr badh Raha tha. 3 hafton mein hee unhone 804 km distance capture kar liya tha. Mid July Tak vah apne lakshya se keval 96 km dur the.
28 June Tak, German centre armed forces ne Soviet union ki teen senao ko gher liya. Bialystok-Minsk pocket mein 3,20,000 sainiko ko kaid kar liya. 27 July Tak Soviet union ke 3 lakh aur sainiko ko bandi bana liya gaya.
Lekin, German south armed forces ko Soviet Sena ka sakht virodh ka samna karna pada. Germany Sena ne 8 August Tak 2 Soviet tukdiyo ko gher liya aur yaha par bhi 1 lakh sainiko ko bandi bana liya. Iske baad Germanic ki sena Knieper River Tak pahunch gai. Yaha par Soviet Sena ka virodh tej hota gaya.
Par German sena keliye buri khabar ye thi ki Unke centre group ka rashan khatm hone vala tha. Isase unki situation orr jyada kharab ho sakti thi. Isse dekhte huye Hitler ne Moscow ko jaane ka plan cancel kar Diya.
Usne in forces ko north and south ko bheja. Ek group ko lelingrad aur ek group ko Kiev ki taraf bheja.
German Sena Oil rich region ki aur badhi. Vaha jaane keliye unhe Stalingrad se hokar gujrana tha.
Stalingrad ki ladai mein najio ne apne 5 lakh sainik kho diye.
Germany ke sainik Moscow se sirf 30 km Durr the. Lekin Hitler ne resources se bharpur ukraine ko important samjha. German high command ne isse opposed bhi kiya tha.
21 August ko Hitler ne Crimeka orr Donets basin par kabja karne liye Kahan. September end Tak Kiev Germany ke kabje aa chuka tha. 6.5 lakh Soviet sainik ya to maare ja chuke the ya bandi ban chuke the.
Black sea se German forces aage badhi orr Crimea mein enter Kiya. German army ne Sevastapul aur baad mein Kharkov ko captured kiya.
German sena ab thak chuki thi, unke kaafi sainik maare gaye the. Supply bhi kam rah gai thi. Sitambar unhone lelingrad ko Soviet se alag kar Diya lekin vah usee Jeet nahi paaye.
Iske baad Hitler ne Moscow ke yuddh ko shuru karne ka faisla kiya. 2 October ko usne operation 'Typhoon" launch Kiya. Hitler ka manana tha ki Soviet ab weak ho chuka hai aur usme Moscow ko bachane ki takad bhi nahi bachi hai.
Lekin Soviet ki red army ready ho chuki thi. Karib 10 lakh sainik Moscow ko protect karne keliye ready the. Unke paas bhale hee kuch tank aur aircraft bache ho lekin unhone defence ke Kai layer banaye. Desh keliye vahan ke civilian jaan dene keliye ek huye.
Shuruvat mein German sena ko kaafi success mili. Germany ki Panzer Division ne 6 lakh Russian soldiers ko bandi bana liya. Lekin jab German sena moskow ke paas pahunchi to Mausam ne dhoka de diya.
Baarish ki vajah se sadko pad kaafi kichd bhar gaya tha. Ghode khinchne vaali gadiya kichd mein fanse lagi thi. Moscow ke paas aakar German Sena ne yah operation temporarily suspend kr diya.
November month mein jamin par kichd to sukh gai lekin isi bich Soviet Sena ko armed forces taiyaar karne keliye mauka mil gaya tha. 5 December ko Soviet union ne achank javabi hamla kiya. Germany ke sainiko ko picche hatane keliye majbut hona pada. Yahan se Germany ki haar shuru hui.
27 January 1945 ko the Soviet Red Army ne extermination camp me se lakho logo ko azad Kiya.
Hitler 30 April ko hee ek bunker mein suicide karata hai.
Soviet union ne berlin par hamle ke baad, May 2, 1945 ko, Germany Soviet armed forces ke saamne surrender karta hai. Jisase world war 2 lagbhag khatam ho jata hai.
(After the attacked on Berlin, On May 2, 1945 Germany surrendered to Soviet Union. Which almost ends the world war 2)
Soviet Union suffered most:
Iss Warfare mein Britain aur Amerika ne guns, tanks, armed forces dwara help jarur ki. Lekin sabse jyada human casualties Soviet union ki hee Hui.
Bahut se civilians genocide, massacres, mass-bombings, disease starvation ki vajah se maare gaye.
Hate and Grudge ke chakkar mein karodo Jews ko maara Gaya.
Soviet Union ke lagbhag 27 million pepole ko, jinme se 8.7 million military aur 19 million civilians maare gaye.
(About 27 million people of the Soviet Union, including 8.7 million military and 19 million civilians, were killed.)
Reasons behind Victory of Soviet Union:
Harsh Winter of Moscow:
German armed forces ko Soviet ki thand kaa andaja nahi tha. vah yahan ke winter ke sath adjust nahi kar paaye. Aur unki faujo ko picche hatana pada.
Stalin ki politicial skills and Patriotism of People:
Hitler se world ko save karne mein Stalin ki strong politicial approach kaam aayi.
Soviet armed forces ready na hote huye bhi Stalin ne patience se kaam liya.
Use belief tha ki mitra deshon ki war machines se vah Germany ko hara dega.
Stalin ne Soviet fauj ko ek kadam bhi picche nahi hatne ke aadesh diye. Stalin ne Kahan tha ki "yuddh se picche hatane vaale kisi bhi vykaati ko motherland ke liye gaddar mana jayega aur use usii vakt khatam kiya jayega".
German machino se ladhne keliye Soviet ne 2000 naye karkhane banaye gaye the. Tank T-34 ke aage German machines fail ho gai.
Stalingrad ki haar ke baad German armed forces pichee hatne lagi. Soviet army ne nazio ka pichha karte huye nazi extermination camp se logo ko chudaya.
(After the defeat of Stalingrad , the German armed forces started retreating. The Soiat Army rescued people from the camp while chasing the Nazis.)
Hitler underestimate the power of Soviet union:
Hitler Communist society ko fundamentally weak samjhta tha.
Use laga Soviet ko vah kuch weeks mein harayega. Lekin hua uske ulta.
Jaise ramayan mein ravan ko power ke ghamand ne haraya tha vaise hee Hitler ko uske greed aur ahankar ne haraya. Agar iss war mein Soviet Union haar jaata to Hitler ke paas Soviet ke resources and economic power aa jaati.
Aage kya hota yah kisiko patan nahi. Par uske bullets, tank aur bomb ke neeche lakho masumo ki jaane jaati. .
World jeetne ke chakkar mein
Insaniyat ki raah sadiyo keliye gum ho jaati.
Tabahi ka yah khel Kitana lamba jaata yah to bhavishya hee jaanta.
Soviet ki jeet manvata ke aane vale sunahre bhavishya ki jeet thi. Iss jeet ko Soviet soldiers ne hi nahi aam logo ne khaas bana diya.
Yah itihas hame sikhata hai anyay ke khilaf ekjut hona. Hitler ke paas bhale hee kitani bhi power ho par zid,tyag aur deshprem se sabkuch mumkin hai.
Comments